Haj Ka Safar Hai IsMein Koi Sath Bhi To Ho

haj ka safar hai is mein koi sath bhi to ho

parda-nashin se apni mulaqat bhi to ho

kab se Tahal rahe hain gareban khol kar

KHali ghaTa ko kya karen barsat bhi to ho

din hai ki Dhal nahin raha is reg-zar mein

manzil bhale na aae kahin raat bhi to ho

majmua chhapne to chale ho miyan magar

ashaar mein tumhaare koi baat bhi to ho

(817) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Haj Ka Safar Hai IsMein Koi Sath Bhi To Ho In English By Famous Poet Adil Mansuri. Haj Ka Safar Hai IsMein Koi Sath Bhi To Ho is written by Adil Mansuri. Read famous Poem Haj Ka Safar Hai IsMein Koi Sath Bhi To Ho for youth and Student by Adil Mansuri. Free Download Haj Ka Safar Hai IsMein Koi Sath Bhi To Ho in PDF.