Ghum Raha Tha Ek ShaKHs Raat Ke Khaarzar Mein

ghum raha tha ek shaKHs raat ke KHarzar mein

us ka lahu bhi mar gaya subh ke intizar mein

ruh ki KHushk pattiyan shaKH se TuTti rahin

aur ghaTa baras gai jism ke regzar mein

rang mein rang ghul gae aks ke shishe dhul gae

qaus-e-quzah pighal gai bhigi hui lagar mein

ThanDi saDak thi be-KHabar garm dinon ke qahr se

dhup ko jhelte rahe peD khaDe qatar mein

bahti hawa ki mauj mein tair rahe the sabz ghar

shahr ajib sa laga raat chaDhe KHumar mein

nind bhi jagti rahi pure hue na KHwab bhi

subh hui zamin par raat Dhali mazar mein

deta jawab kya koi mere siwa na tha koi

Dub ke rah gai sada tang siyah ghaar mein

(711) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghum Raha Tha Ek ShaKHs Raat Ke Khaarzar Mein In English By Famous Poet Adil Mansuri. Ghum Raha Tha Ek ShaKHs Raat Ke Khaarzar Mein is written by Adil Mansuri. Read famous Poem Ghum Raha Tha Ek ShaKHs Raat Ke Khaarzar Mein for youth and Student by Adil Mansuri. Free Download Ghum Raha Tha Ek ShaKHs Raat Ke Khaarzar Mein in PDF.