GanThi Hai Usne Dosti Ek Pesh-imam Se

ganThi hai us ne dosti ek pesh-imam se

'adil' uTha lo hath dua-o-salam se

pani ne rasta na diya jaan-bujh kar

ghote lagae phir bhi rahe tishna-kaam se

main us gali se sar ko jhukae guzar gaya

chilghoze phenkti rahi wo mujh pe baam se

wo kaun tha jo din ke ujale mein kho gaya

ye chand kis ko DhunDne nikla hai sham se

kone mein baadshah paDa unghta raha

Table pe raat kaT gai begam ghulam se

nashsha sa Dolta hai tere ang ang par

jaise abhi bhigo ke nikala ho jam se

(864) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

GanThi Hai Usne Dosti Ek Pesh-imam Se In English By Famous Poet Adil Mansuri. GanThi Hai Usne Dosti Ek Pesh-imam Se is written by Adil Mansuri. Read famous Poem GanThi Hai Usne Dosti Ek Pesh-imam Se for youth and Student by Adil Mansuri. Free Download GanThi Hai Usne Dosti Ek Pesh-imam Se in PDF.