Ek Qatra Ashk Ka Chhalka To Dariya Kar Diya

ek qatra ashk ka chhalka to dariya kar diya

ek musht-e-KHak jo bikhri to sahra kar diya

mere TuTe hausle ke par nikalte dekh kar

us ne diwaron ko apni aur uncha kar diya

wardat-e-qalb likkhi hum ne farzi nam se

aur hathon-hath us ko KHud hi le ja kar diya

us ki naraazi ka suraj jab sawa neze pe tha

apne harf-e-ijz hi ne sar pe saya kar diya

duniya bhar ki KHak koi chhanta phirta hai ab

aap ne dar se uTha kar kaisa ruswa kar diya

ab na koi KHauf dil mein aur na aankhon mein umid

tu ne marg-e-na-gahan bimar achchha kar diya

bhul ja ye kal tere naqsh-e-qadam the chand par

dekh un hathon ko kis ne aaj kasa kar diya

hum to kahne ja rahe the hamza-e-ye wassalam

bich mein us ne achanak nun-ghunna kar diya

hum ko gali ke liye bhi lab hila sakte nahin

ghair ko bosa diya to munh se dikhla kar diya

tirgi ki bhi koi had hoti hai aaKHir miyan

surKH parcham ko jala kar hi ujala kar diya

bazm mein ahl-e-suKHan taqtia farmate rahe

aur hum ne apne dil ka bojh halka kar diya

jaane kis ke muntazir baiThe hain jhaDu pher kar

dil se har KHwahish ko 'adil' hum ne chalta kar diya

(762) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Qatra Ashk Ka Chhalka To Dariya Kar Diya In English By Famous Poet Adil Mansuri. Ek Qatra Ashk Ka Chhalka To Dariya Kar Diya is written by Adil Mansuri. Read famous Poem Ek Qatra Ashk Ka Chhalka To Dariya Kar Diya for youth and Student by Adil Mansuri. Free Download Ek Qatra Ashk Ka Chhalka To Dariya Kar Diya in PDF.