Dur Ufuq Ke Par Se Aawaz Ke Parwardigar

dur ufuq ke par se aawaz ke parwardigar

sadiyon soi KHamushi ko samne aa kar pukar

jaane kin hathon ne khela raat sahil par shikar

sher ki aawaz ko tarsa kiye sune kachhaar

KHwab ke sukhe hue KHakon mein lazzat ka ghubar

nind ke dimak-zada gatte ke pichhe intizar

tirgi kaise miTegi teri nusrat ke baghair

aasman ki siDhiyon se nuqrai faujen utar

aaKHir-e-shab sab sitare so rahe hain be-KHabar

koi suraj ko KHabar kar do ki ab shab-KHun mar

phailta jata hai kirnon ka sunahri jal phir

jagmaga uTThi hain shamshiren qatar-andar-qatar

jaane kis ko DhunDne daKHil hua hai jism mein

haDDiyon mein rasta karta hua pila buKHar

jism ki miTTi na le jae baha kar sath mein

dil ki gahrai mein girta KHwahishon ka aabshaar

(745) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dur Ufuq Ke Par Se Aawaz Ke Parwardigar In English By Famous Poet Adil Mansuri. Dur Ufuq Ke Par Se Aawaz Ke Parwardigar is written by Adil Mansuri. Read famous Poem Dur Ufuq Ke Par Se Aawaz Ke Parwardigar for youth and Student by Adil Mansuri. Free Download Dur Ufuq Ke Par Se Aawaz Ke Parwardigar in PDF.