Jalne Lage KHala Mein Hawaon Ke Naqsh-e-pa

jalne lage KHala mein hawaon ke naqsh-e-pa

suraj ka hath sham ki gardan pe ja paDa

chhat par pighal ke jam gai KHwabon ki chandni

kamre ka dard hanpte sayon ko kha gaya

bistar mein ek chand tarasha tha lams ne

us ne uTha ke chae ke cup mein Dubo diya

har aankh mein thi TuTte lamhon ki tishnagi

har jism pe tha waqt ka saya paDa hua

dekha tha sab ne Dubne wale ko dur dur

pani ki ungliyon ne kinare ko chhu liya

aaegi raat munh pe siyahi male hue

rakh dega din bhi hath mein kaghaz phaTa hua

(743) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jalne Lage KHala Mein Hawaon Ke Naqsh-e-pa In English By Famous Poet Adil Mansuri. Jalne Lage KHala Mein Hawaon Ke Naqsh-e-pa is written by Adil Mansuri. Read famous Poem Jalne Lage KHala Mein Hawaon Ke Naqsh-e-pa for youth and Student by Adil Mansuri. Free Download Jalne Lage KHala Mein Hawaon Ke Naqsh-e-pa in PDF.