Jita Hai Sirf Tere Liye Kaun Mar Ke Dekh

jita hai sirf tere liye kaun mar ke dekh

ek roz meri jaan ye harkat bhi kar ke dekh

manzil yahin hai aam ke peDon ki chhanw mein

ai shahsawar ghoDe se niche utar ke dekh

TuTe paDe hain kitne ujalon ke ustuKHwan

saya-numa andhere ke andar utar ke dekh

phulon ki tang-damani ka tazkira na kar

KHushbu ki tarah mauj-e-saba mein bikhar ke dekh

tujh par khulenge maut ki sarhad ke raste

himmat agar hai us ki gali se guzar ke dekh

dariya ki wusaton se use napte nahin

tanhai kitni gahri hai ek jam bhar ke dekh

(845) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jita Hai Sirf Tere Liye Kaun Mar Ke Dekh In English By Famous Poet Adil Mansuri. Jita Hai Sirf Tere Liye Kaun Mar Ke Dekh is written by Adil Mansuri. Read famous Poem Jita Hai Sirf Tere Liye Kaun Mar Ke Dekh for youth and Student by Adil Mansuri. Free Download Jita Hai Sirf Tere Liye Kaun Mar Ke Dekh in PDF.