Phir Kisi KHwab Ke Parde Se Pukara Jaun

phir kisi KHwab ke parde se pukara jaun

phir kisi yaad ki talwar se mara jaun

phir koi wusat-e-afaq pe saya Dale

phir kisi aankh ke nuqte mein utara jaun

din ke hangamon mein daman kahin maila ho jae

raat ki nuqrai aatish mein nikhaara jaun

KHushk khoe hue gumnam jazire ki tarah

dard ke kale samundar se ubhaara jaun

apni khoi hui jannat ka talabgar banun

dast-e-yazdan se gunahgar sanwara jaun

(700) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Kisi KHwab Ke Parde Se Pukara Jaun In English By Famous Poet Adil Mansuri. Phir Kisi KHwab Ke Parde Se Pukara Jaun is written by Adil Mansuri. Read famous Poem Phir Kisi KHwab Ke Parde Se Pukara Jaun for youth and Student by Adil Mansuri. Free Download Phir Kisi KHwab Ke Parde Se Pukara Jaun in PDF.