Phaile Hue Hain Shahr Mein Sae NiDhaal Se

phaile hue hain shahr mein sae niDhaal se

jaen kahan nikal ke KHayalon ke jal se

mashriq se mera rasta maghrib ki samt tha

us ka safar junub ki jaanib shumal se

kaisa bhi talKH zikr ho kaisi bhi tursh baat

un ki samajh mein aaegi gul ki misal se

chup-chap baiThe rahte hain kuchh bolte nahin

bachche bigaD gae hain bahut dekh-bhaal se

rangon ko bahte dekhiye kamre ke farsh par

kirnon ke war rokiye shishe ki Dhaal se

aankhon mein aansuon ka kahin nam tak nahin

ab jute saf kijiye un ke rumal se

chehra bujha bujha sa pareshan zulf zulf

allah dushmanon ko bachae wabaal se

phir paniyon mein nuqrai sae utar gae

phir raat jagmaga uThi chandi ke thaal se

(767) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phaile Hue Hain Shahr Mein Sae NiDhaal Se In English By Famous Poet Adil Mansuri. Phaile Hue Hain Shahr Mein Sae NiDhaal Se is written by Adil Mansuri. Read famous Poem Phaile Hue Hain Shahr Mein Sae NiDhaal Se for youth and Student by Adil Mansuri. Free Download Phaile Hue Hain Shahr Mein Sae NiDhaal Se in PDF.