Ainak Ke Shishe Par

ainak ke shishe par sarakti chyunTi

aage ke panw upar hawa mein uTha kar

pichhle panw par khaDi

hinhinati hai ghoDe ki tarah

ainak ke niche dabe aKHbar mein

do hawai jahaz Takra jate hain

musafiron se ladi ek kashti ulaT jati hai

ek bas khai mein gir paDti hai

panch buDhe faqir sardi se mar jate hain

koila-kan mein pani bhar jata hai

radio pukarta hai pachchis paise mein tin

ainak ka shisha saf karti chyunTi

aahista se aage baDh jati hai

(1814) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Ainak Ke Shishe Par In English By Famous Poet Adil Mansuri. Ainak Ke Shishe Par is written by Adil Mansuri. Read famous Poem Ainak Ke Shishe Par for youth and Student by Adil Mansuri. Free Download Ainak Ke Shishe Par in PDF.