Lahu Ko SurKH Gulabon Mein Band Rahne Do

lahu ko surKH gulabon mein band rahne do

shikasta KHwab ke shishon pe us ka aks paDe

siyah miTTi ke niche safed baal jale

kisi ke dant meri ungliyan chaba jaen

KHala ke zine se parchhaiyan utarne lagen

har ek lamhe ke chehre pe dhup marne lage

udas waqt ke kandhe pe hath rakh ke chalun

buzurg bap ke chehre ki jhurriyan chumun

KHamosh hain dar-o-diwar khiDkiyan chup hain

gali ke moD pe ruk jae raat ka saya

mujhe na roko mujhe meri man se milne do

ye mere bhai ye bahnen ye hamila biwi

lahu ko surKH gulabon mein band rahne do

(828) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lahu Ko SurKH Gulabon Mein Band Rahne Do In English By Famous Poet Adil Mansuri. Lahu Ko SurKH Gulabon Mein Band Rahne Do is written by Adil Mansuri. Read famous Poem Lahu Ko SurKH Gulabon Mein Band Rahne Do for youth and Student by Adil Mansuri. Free Download Lahu Ko SurKH Gulabon Mein Band Rahne Do in PDF.