Lafz Ki Chhanw Mein

lafz ki chhanw mein

nim ki pattiyon ka safar talKH sa

silni jism mein ruh bechain bhi

shahriyat ke taqaze jo TuTe kabhi

zindagi ke amal mein bhi shak aa paDa

TuT kar kis tarah juD gai chandni

dhup lamhon ke chehron se girti hui KHak mein ja mili

sar jhukae hue kaun saDkon pe yun tujh ko DhunDa kare

ham-kalami ki izzat ka baadal sada sar pe saya fagan

jab teri KHamushi ke maani ke honTon se Tapke hue

dudh ke chand qatre samundar bane

baadbanon ke aaghosh khole hue kashtiyan chal paDin

tishnagi ke jaziron pe saya kahan

subh ka mom pighla to KHwabon ke dil bujh gae

bujh gai raat bhi

bujh gai lafz ke hath ki baat bhi

lafz maidan mein sar-nigun rah gae

sangsari ki lazzat lahu ban gai

kaun poshida jazbon ki chilman bane

lafz ki chhanw mein koi suraj Dhale

(893) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lafz Ki Chhanw Mein In English By Famous Poet Adil Mansuri. Lafz Ki Chhanw Mein is written by Adil Mansuri. Read famous Poem Lafz Ki Chhanw Mein for youth and Student by Adil Mansuri. Free Download Lafz Ki Chhanw Mein in PDF.