Tilismi Ghaar Ka Darwaza

roz aadhi raat ko

ek tilismi ghaar ke

KHufiya darwaze ke sine mein janam leti hain ghaibi dhaDkanen

ghaar ki gahrai mein

chalte hue sangit ke qadmon ki chap

raat ki andhi hawa ka hath pakDe dur tak jati hai sath

ek zahri sanp

khinch aata hai sar ki chah mein

lakh KHatre hain zara si rah mein

band darwaze ke pas

narm bhini ghas mein

baiTh jata hai wo kunDli mar ke

aur apna phan uThae

jhumta rahta hai sar ki tan par

khelta rahta hai apni jaan par

TuTta hai jis ghaDi sar ka bahao

sanp ko aata hai tao

band darwaze pe ghussa mein paTakta hai wo sar

aur Das leta hai us ko apna zahri phan uTha kar

subh hone tak to mar jata hai darwaza

magar

roz aadhi raat ko

(724) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tilismi Ghaar Ka Darwaza In English By Famous Poet Adil Mansuri. Tilismi Ghaar Ka Darwaza is written by Adil Mansuri. Read famous Poem Tilismi Ghaar Ka Darwaza for youth and Student by Adil Mansuri. Free Download Tilismi Ghaar Ka Darwaza in PDF.