Ufuq Ki Hatheli Se Suraj Na Ubhre

use gend ki narm golai apni taraf khinchti thi

wo paida hua tha to

main ne hi kanon mein di thi azan

wo lari ke pahiyon ki golaiyan

napna chahta tha

use haspatali farishton ne

stretcher se niche utara

main lamhon ko

aankhon se Tanke lagane mein masruf

kursi mein baiTha hua tha

udhar pair se KHun ki kam-sini phuTti thi

operation theater mein

chiKHon ke sayon ke malbus utre

ufuq ki hatheli se suraj na ubhre

(805) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Ufuq Ki Hatheli Se Suraj Na Ubhre In English By Famous Poet Adil Mansuri. Ufuq Ki Hatheli Se Suraj Na Ubhre is written by Adil Mansuri. Read famous Poem Ufuq Ki Hatheli Se Suraj Na Ubhre for youth and Student by Adil Mansuri. Free Download Ufuq Ki Hatheli Se Suraj Na Ubhre in PDF.