Walid Ke Intiqal Par

wo chaalis raaton se soya na tha

wo KHwabon ko unTon pe lade hue

raat ke regzaron mein chalta raha

chandni ki chitaon mein jalta raha

mez par

kanch ke ek pyale mein rakkhe hue

dant hanste rahe

kali ainak ke shishon ke pichhe se phir

motiye ki kali sar uThane lagi

aankh mein tirgi muskurane lagi

ruh ka hath

chhalni hua sui ki nok se

KHwahishon ke diye

jism mein bujh gae

sabz pani ki sayyal parchhaiyan

lamha lamha band mein utarne lagin

ghar ki chhat mein jaDe

das sitaron ke sayon tale

aks dhundla gae

aks murjha gae

(1277) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Walid Ke Intiqal Par In English By Famous Poet Adil Mansuri. Walid Ke Intiqal Par is written by Adil Mansuri. Read famous Poem Walid Ke Intiqal Par for youth and Student by Adil Mansuri. Free Download Walid Ke Intiqal Par in PDF.