Waqt Ki PiTh Par

waqt ki piTh par

kachche lamhon ke dhagon mein lipTa hua

shahr ki siDhiyon par sarakta hua

nit nae

KHud-kushi ke tariqon ka mujid bana

habshi raaton ke jangal mein bikhri hui

lams ki haDDiyan

chun raha hun na jaane main kis ke liye

jab mere nam ke lafz tanha the logo

tumhein surKH honTon ki KHairaat

kaise mili ye batao

refrigerator mein rakkhi hui tashtari mein

meri donon aankhen barahna paDi thin

wahan tak kisi KHwab ke hath pahunche nahin

kabutar ki aankhon mein

TuTe hue aasmanon ka tanazzul na dekho

badan ke shikasta khanDar se nikal bhagne ke liye phir

tumhaari madad ki zarurat hai mujh ko

(870) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Waqt Ki PiTh Par In English By Famous Poet Adil Mansuri. Waqt Ki PiTh Par is written by Adil Mansuri. Read famous Poem Waqt Ki PiTh Par for youth and Student by Adil Mansuri. Free Download Waqt Ki PiTh Par in PDF.