BaDa KHushnuma Ye Maqam Hai Nai Zindagi Ki Talash Kar

baDa KHushnuma ye maqam hai nai zindagi ki talash kar

tu na apne zehn ki baat kar nai dosti ki talash kar

tere aasman ka sar kabhi kisi aur zamin pe jhuk gaya

ye hua to aisa hua hi kyun kabhi us kami ki talash kar

kabhi KHwahishon ke hujum mein jo phisal gae hain mere qadam

jise pi ke dahr sambhal gaya usi mai-kashi ki talash kar

jo bahaar ko bhi aziz thi wahi sham lutf-o-surur ki

jise siskiyon ki nazar lagi usi zindagi ki talash kar

jahan aadmi ki baqa rahe jahan fikr-o-fan ko jila mile

jahan dard-e-nau ka pata mile wahan aagahi ki talash kar

na udas sham ke falsafe na bahaar-e-subh ki raunaqen

na asl zist ke zer-o-bam na to naghmagi ki talash kar

jo bhi guftugu ka usul hai usi baat ka tu KHayal rakh

nai kaenat ki justuju nai raushni ki talash kar

(917) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BaDa KHushnuma Ye Maqam Hai Nai Zindagi Ki Talash Kar In English By Famous Poet Afroz Alam. BaDa KHushnuma Ye Maqam Hai Nai Zindagi Ki Talash Kar is written by Afroz Alam. Read famous Poem BaDa KHushnuma Ye Maqam Hai Nai Zindagi Ki Talash Kar for youth and Student by Afroz Alam. Free Download BaDa KHushnuma Ye Maqam Hai Nai Zindagi Ki Talash Kar in PDF.