Attar Ke Maskan Mein Ye Kaisi Udasi Hai

attar ke maskan mein ye kaisi udasi hai

sone ki muqabil mein har samt hi miTTi hai

tu sahab-e-qudrat hai tu apna karam rakhna

sahra ki taraf mail haalat ki kashti hai

raushan hai daraKHshan hai ye daur ba-zahir to

mazdur ke bas mein to bas riDh ki haDDi hai

lamhon ki taaqub mein sadiyon ki dharohar thi

afsos ke daman mein ghurbat ki ye basti hai

wo sahab-e-masnad hain is se unhen kya matlab

jazbon ke darichon se jari koi naddi hai

har KHwab shikasta hai tamir-e-nasheman ka

har subh ke mathe par bazar ki garmi hai

kuchh aur masail se uljhega abhi 'alam'

har sahib-e-alam pe chhai abhi masti hai

(801) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Attar Ke Maskan Mein Ye Kaisi Udasi Hai In English By Famous Poet Afroz Alam. Attar Ke Maskan Mein Ye Kaisi Udasi Hai is written by Afroz Alam. Read famous Poem Attar Ke Maskan Mein Ye Kaisi Udasi Hai for youth and Student by Afroz Alam. Free Download Attar Ke Maskan Mein Ye Kaisi Udasi Hai in PDF.