Phaile Hue Ghubar Ka Phir Moajiza Bhi Dekh

phaile hue ghubar ka phir moajiza bhi dekh

raste se jo bhaTak gaya wo qafila bhi dekh

main ne to aasman ko Thokar pe rakh liya

zarre mein kaenat ka ye zawiya bhi dekh

kab tak tu sare shahr ko bauna bataega

KHud par bhi kar nigah kabhi aaina bhi dekh

mere labon pe dekh na tu KHamushi ki mohr

tu apni harkaton ka zara silsila bhi dekh

shahr-e-ana mein aaine ke ru-ba-ru hun main

ehsas ki nazar se mera hausla bhi dekh

'alam' nae jahan ki satwat bayan kar

sadiyon se jis pe nur hai wo rasta bhi dekh

(780) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phaile Hue Ghubar Ka Phir Moajiza Bhi Dekh In English By Famous Poet Afroz Alam. Phaile Hue Ghubar Ka Phir Moajiza Bhi Dekh is written by Afroz Alam. Read famous Poem Phaile Hue Ghubar Ka Phir Moajiza Bhi Dekh for youth and Student by Afroz Alam. Free Download Phaile Hue Ghubar Ka Phir Moajiza Bhi Dekh in PDF.