Mauj-dar-mauj Hawaon Se Bacha Launga

mauj-dar-mauj hawaon se bacha launga

KHud ko main dasht ke panjon se chhuDa launga

hausla rakhiye main sahra se palaT aaunga

zarre zarre se mohabbat ka pata launga

mere hathon ki lakiron mein jo hain uljhe hue

un hi gesu ke liye phul bacha launga

tere mathe pe chamakte hue rangon ki qasam

tere honTon pe tarannum ki sada launga

main jo paband-e-wafa hun tu wafa zinda hai

main isi tarz-e-riyazat ka sila launga

mausam-e-KHushk hua tez magar wada raha

surKH phulon ke liye nam-e-wafa launga

shab ki tanhai mein aankhon se lahu Tapkega

aise 'alam' ki main taswir bana launga

(907) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mauj-dar-mauj Hawaon Se Bacha Launga In English By Famous Poet Afroz Alam. Mauj-dar-mauj Hawaon Se Bacha Launga is written by Afroz Alam. Read famous Poem Mauj-dar-mauj Hawaon Se Bacha Launga for youth and Student by Afroz Alam. Free Download Mauj-dar-mauj Hawaon Se Bacha Launga in PDF.