Shams Madum Hai Taron Mein Ziya Hai To Sahi

shams madum hai taron mein ziya hai to sahi

chandni raat mein mad-mast hawa hai to sahi

KHwahish-e-ishq ki takmil kahan hoti hai

garche wo shoKH nahin shoKH-numa hai to sahi

aahaTen jag ke tariKH ko dastak dengi

aas ke sine mein ek zaKHm hara hai to sahi

subh ki rah mein zulmat ke sang aate hain

main ne har sang ko Thokar pe rakha hai to sahi

han usi uqde se uljha hai taKHayyul ka shuur

yani uljha hua hathon mein sira hai to sahi

jumbish-e-lab se mere dar pe sar aate hain

phir bhi kuchh raaz fazaon mein khula hai to sahi

garche main hadi-o-rahbar nahin hun 'alam' ka

phir bhi hathon mein mere ek asa hai to sahi

(740) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shams Madum Hai Taron Mein Ziya Hai To Sahi In English By Famous Poet Afroz Alam. Shams Madum Hai Taron Mein Ziya Hai To Sahi is written by Afroz Alam. Read famous Poem Shams Madum Hai Taron Mein Ziya Hai To Sahi for youth and Student by Afroz Alam. Free Download Shams Madum Hai Taron Mein Ziya Hai To Sahi in PDF.