Thokar Se Faqiron Ki Duniya Ka Bikhar Jaana

Thokar se faqiron ki duniya ka bikhar jaana

KHwahish ka laraz jaana asbab ka Dar jaana

aakash ke mathe pe jadu ka sabab ye hai

taron ka chamak jaana chanda ka nikhar jaana

aa tujh ko bata dun main achchhi si ghazal kya hai

afkar ke sanche mein lafzon ka utar jaana

iqrar-e-mohabbat ki nazuk si dalilen hain

aankhon mein chamak aana zulfon ka sanwar jaana

be-rabt dalilen hain us shoKH ki baaton mein

kuchh der talak kahna phir kah ke mukar jaana

duniya jise kahti hai wo nil-kamal tum ho

har jhil ko jachta hai tera khil ke ubhar jaana

tum meri zarurat ho 'alam' yahi kahta hai

is baat ka matlab hai tere bin mera mar jaana

(961) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Thokar Se Faqiron Ki Duniya Ka Bikhar Jaana In English By Famous Poet Afroz Alam. Thokar Se Faqiron Ki Duniya Ka Bikhar Jaana is written by Afroz Alam. Read famous Poem Thokar Se Faqiron Ki Duniya Ka Bikhar Jaana for youth and Student by Afroz Alam. Free Download Thokar Se Faqiron Ki Duniya Ka Bikhar Jaana in PDF.