Ye Reg-e-rawan Yaad-dahani To Nahin Kya

ye reg-e-rawan yaad-dahani to nahin kya

sahra kisi dariya ki nishani to nahin kya

dekho mera kirdar kahin par bhi nahin hai

dekho ye koi aur kahani to nahin kya

raushan hai naya aks sar-e-chashm-e-tamasha

bite hue manzar ki rawani to nahin kya

is ghar ke dar-o-baam bhi apne nahin lagte

qismat mein nai naql-e-makani to nahin kya

KHwabon pe paDi os ka matlab to yahi hai

ashkon ke jo shoale wo the pani to nahin kya

main misra-e-ula hun to aaine mein sahab

jo aks hai wo misra-e-sani to nahin kya

puchhunga kisi roz charaghon se main 'ahmad'

ye lau koi paigham zabani to nahin kya

(784) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Reg-e-rawan Yaad-dahani To Nahin Kya In English By Famous Poet Aftab Ahmad. Ye Reg-e-rawan Yaad-dahani To Nahin Kya is written by Aftab Ahmad. Read famous Poem Ye Reg-e-rawan Yaad-dahani To Nahin Kya for youth and Student by Aftab Ahmad. Free Download Ye Reg-e-rawan Yaad-dahani To Nahin Kya in PDF.