Umr-e-rafta Main Tere Hath Bhi Kya Aaya Hun

umr-e-rafta main tere hath bhi kya aaya hun

din bitane the magar KHud ko bita aaya hun

dhul bhi aise qarine se uDai hai ki main

ek marte hue raste ko bacha aaya hun

kal ko de aaunga ja kar use binai bhi

aankh diwar pe filhaal bana aaya hun

wadi-e-saut nahin mujh ko bhulane wali

naqsh yun kar ke wahan apni sada aaya hun

sirf panw hi nahin qaid se bahar aae

apni zanjir ko bhi kar ke riha aaya hun

apne aansu bhi kiye nazr kisi pani ke

pyas dariya ki bahar-taur bujha aaya hun

zindagi tu bhi bahut yaad karegi mujh ko

tere hisse ke bhi dukh-dard uTha aaya hun

ab pareshan hun ki tabir ka jaane kya ho

band kanon ko naya KHwab suna aaya hun

jaane kis ghaT lage umr ki kashti 'ahmad'

KHud ko sukhe hue dariya mein baha aaya hun

(1694) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Umr-e-rafta Main Tere Hath Bhi Kya Aaya Hun In English By Famous Poet Aftab Ahmad. Umr-e-rafta Main Tere Hath Bhi Kya Aaya Hun is written by Aftab Ahmad. Read famous Poem Umr-e-rafta Main Tere Hath Bhi Kya Aaya Hun for youth and Student by Aftab Ahmad. Free Download Umr-e-rafta Main Tere Hath Bhi Kya Aaya Hun in PDF.