Mumkin Hai Shai Wahi Ho Magar Hu-ba-hu Na Ho

mumkin hai shai wahi ho magar hu-ba-hu na ho

reg-e-rawan bhi dekh kahin aabju na ho

qaem isi tazad ke dam se hai kaenat

main aarzu hun jis ki meri aarzu na ho

manzar badal badal ke bhi dekha hai barha

jo zaKHm ab hai aankh pe shayad rafu na ho

sahta raha hun ek tasalsul se is liye

ye TuT-phuT hi meri wajh-e-numu na ho

main KHud hi bujhne lagta hun jalte hue charagh

jis rose teri lau se meri guftugu na ho

dekho badal ke zawiya apni nigah ka

jo ru-ba-ru nahin hai wahi ru-ba-ru na ho

mere wajud se hai ye duniya-e-rang-o-bu

lekin mera jahan faqat rang-o-bu na ho

mushkil meri hadon ka tayyun hai 'aftab'

wo raushni bhi kya hai ki jo chaar su na ho

(731) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mumkin Hai Shai Wahi Ho Magar Hu-ba-hu Na Ho In English By Famous Poet Aftab Ahmad. Mumkin Hai Shai Wahi Ho Magar Hu-ba-hu Na Ho is written by Aftab Ahmad. Read famous Poem Mumkin Hai Shai Wahi Ho Magar Hu-ba-hu Na Ho for youth and Student by Aftab Ahmad. Free Download Mumkin Hai Shai Wahi Ho Magar Hu-ba-hu Na Ho in PDF.