Kisi Nishan Se Alamat Se Ya Sanad Se Na Ho

kisi nishan se alamat se ya sanad se na ho

agar main hun to ye hona bhi KHal-o-KHad se na ho

main ek aise zamane mein basna chahta hun

zamana jis ka talluq azal abad se na ho

mere adu wo haqiqat bhi kya haqiqat hai

subut jis ka mayassar usi ke rad se na ho

isi liye to main rakhta hun KHushbuon sa mizaj

main chahta hun ki mera shumar had se na ho

banane wala hun hathon se apne farda ka

wo zaicha jo lakiron se ya adad se na ho

wajud wahima hai ai badan-nazhad samajh

ye tera saya bhi shayad tere jasad se na ho

main apna aap usi ke supurd kar dunga

ek aisa shaKHs jo amboh-e-nek-o-bad se na ho

(735) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Nishan Se Alamat Se Ya Sanad Se Na Ho In English By Famous Poet Aftab Ahmad. Kisi Nishan Se Alamat Se Ya Sanad Se Na Ho is written by Aftab Ahmad. Read famous Poem Kisi Nishan Se Alamat Se Ya Sanad Se Na Ho for youth and Student by Aftab Ahmad. Free Download Kisi Nishan Se Alamat Se Ya Sanad Se Na Ho in PDF.