Apna Diwana Bana Kar Le Jae

apna diwana bana kar le jae

kabhi wo aae aur aa kar le jae

roz buniyaad uThata hun nai

roz sailab baha kar le jae

husn walon mein koi aisa ho

jo mujhe mujh se chura kar le jae

rang-e-rukHsar pe itrao nahin

jaane kab waqt uDa kar le jae

kise malum kahan kaun kise

apne raste pe laga kar le jae

'aftab' ek to aisa ho kahin

jo hamein apna bana kar le jae

(665) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Apna Diwana Bana Kar Le Jae In English By Famous Poet Aftab Hussain. Apna Diwana Bana Kar Le Jae is written by Aftab Hussain. Read famous Poem Apna Diwana Bana Kar Le Jae for youth and Student by Aftab Hussain. Free Download Apna Diwana Bana Kar Le Jae in PDF.