Fasil-e-shahr-e-tamanna Mein Dar Banate Hue

fasil-e-shahr-e-tamanna mein dar banate hue

ye kaun dil mein dar aaya hai ghar banate hue

nasheb-e-chashm-e-tamasha bana gaya mujh ko

kahin bulandi-e-ayyam par banate hue

main kya kahun ki abhi koi pesh-raft nahin

guzar raha hun abhi rahguzar banate hue

kise KHabar hai ki kitne nujum TuT gire

shab-e-siyah se rang-e-sahar banate hue

pate ki baat bhi munh se nikal hi jati hai

kabhi kabhi koi jhuTi KHabar banate hue

magar ye dil mera ye tair-e-bahisht mera

utar hi aaya kahin mustaqar banate hue

dilon ke bab mein kya daKHl 'aftab-husain'

so baat phail gai muKHtasar banate hue

(1085) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fasil-e-shahr-e-tamanna Mein Dar Banate Hue In English By Famous Poet Aftab Hussain. Fasil-e-shahr-e-tamanna Mein Dar Banate Hue is written by Aftab Hussain. Read famous Poem Fasil-e-shahr-e-tamanna Mein Dar Banate Hue for youth and Student by Aftab Hussain. Free Download Fasil-e-shahr-e-tamanna Mein Dar Banate Hue in PDF.