Gae Manzaron Se Ye Kya UDa Hai Nigah Mein

gae manzaron se ye kya uDa hai nigah mein

koi aks hai ki ghubar sa hai nigah mein

hama-waqt apni shabih ke hun main ru-ba-ru

koi ashk hai ki ye aaina hai nigah mein

koi shahr-e-KHwab guzar raha hai KHayal se

koi dasht-e-sham sulag raha hai nigah mein

kaf-e-dard se gham-e-kaenat ki gard se

wahi miT raha hai jo naqsh sa hai nigah mein

koi tirgi hai furaat-e-jaan mein rawan-dawan

magar ek charagh sa tairta hai nigah mein

gae mausamon ki wo sabz rang hikayaten

koi aab-e-surKH se likh gaya hai nigah mein

(790) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gae Manzaron Se Ye Kya UDa Hai Nigah Mein In English By Famous Poet Aftab Hussain. Gae Manzaron Se Ye Kya UDa Hai Nigah Mein is written by Aftab Hussain. Read famous Poem Gae Manzaron Se Ye Kya UDa Hai Nigah Mein for youth and Student by Aftab Hussain. Free Download Gae Manzaron Se Ye Kya UDa Hai Nigah Mein in PDF.