Jab Safar Se LauT Kar Aane Ki Tayyari Hui

jab safar se lauT kar aane ki tayyari hui

be-talluq thi jo shai wo bhi bahut pyari hui

chaar sansen thin magar sine ko bojhal kar gain

do qadam ki ye masafat kis qadar bhaari hui

ek manzar hai ki aankhon se sarakta hi nahin

ek saat hai ki sari umr par tari hui

is tarah chaalen badalta hun bisat-e-dahr par

jit lunga jis tarah ye zindagi haari hui

kin tilismi raston mein umr kaTi 'aftab'

jis qadar aasan laga utni hi dushwari hui

(829) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Safar Se LauT Kar Aane Ki Tayyari Hui In English By Famous Poet Aftab Hussain. Jab Safar Se LauT Kar Aane Ki Tayyari Hui is written by Aftab Hussain. Read famous Poem Jab Safar Se LauT Kar Aane Ki Tayyari Hui for youth and Student by Aftab Hussain. Free Download Jab Safar Se LauT Kar Aane Ki Tayyari Hui in PDF.