Kabhi Jo Rasta Hamwar Karne Lagta Hun

kabhi jo rasta hamwar karne lagta hun

kuchh aur bhi use dushwar karne lagta hun

mere wajud ke andar bhaDakne lagta hai

jab us charagh ka inkar karne lagta hun

nazar mein lata hun us chashm-e-nim-baz ko main

aur apne aap ko bimar karne lagta hun

jahan bhi koi zara hans ke baat karta hai

main apne zaKHm numudar karne lagta hun

wo shor hota hai KHwabon mein 'aftab' 'husain'

ki KHud ko nind se bedar karne lagta hun

(756) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Jo Rasta Hamwar Karne Lagta Hun In English By Famous Poet Aftab Hussain. Kabhi Jo Rasta Hamwar Karne Lagta Hun is written by Aftab Hussain. Read famous Poem Kabhi Jo Rasta Hamwar Karne Lagta Hun for youth and Student by Aftab Hussain. Free Download Kabhi Jo Rasta Hamwar Karne Lagta Hun in PDF.