Kahan Kisi Pe Ye Ehsan Karne Wala Hun

kahan kisi pe ye ehsan karne wala hun

main apne aap ko hairan karne wala hun

ajib rang ki KHushbu hai mere kaise mein

main shahr bhar ko pareshan karne wala hun

khila rahega kisi yaad ke jazire par

ye bagh main jise viran karne wala hun

duaen mangta hun sab ki zindagi ke liye

aur apni maut ka saman karne wala hun

kuchh aur tarah ki mushkil mein Dalne ke liye

main apni zindagi aasan karne wala hun

(722) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahan Kisi Pe Ye Ehsan Karne Wala Hun In English By Famous Poet Aftab Hussain. Kahan Kisi Pe Ye Ehsan Karne Wala Hun is written by Aftab Hussain. Read famous Poem Kahan Kisi Pe Ye Ehsan Karne Wala Hun for youth and Student by Aftab Hussain. Free Download Kahan Kisi Pe Ye Ehsan Karne Wala Hun in PDF.