Nigah Ke Liye Ek KHwab Bhi Ghanimat Hai

nigah ke liye ek KHwab bhi ghanimat hai

wo tirgi hai ki ye raushni ghanimat hai

chalo kahin pe talluq ki koi shakl to ho

kisi ke dil mein kisi ki kami ghanimat hai

kam o ziyaada pe israr kya kiya jae

hamare daur mein itni si bhi ghanimat hai

badal rahe hain zamane ke rang kya kya dekh

nazar uTha ki ye nazzargi ghanimat hai

na jaane waqt ki gardish dikhaegi kya ruKH

guzar rahi hai jo ye zindagi ghanimat hai

gham-e-jahan ke jhamelon mein aaftab 'husain'

KHayal-e-yar ki aasudgi ghanimat hai

(808) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nigah Ke Liye Ek KHwab Bhi Ghanimat Hai In English By Famous Poet Aftab Hussain. Nigah Ke Liye Ek KHwab Bhi Ghanimat Hai is written by Aftab Hussain. Read famous Poem Nigah Ke Liye Ek KHwab Bhi Ghanimat Hai for youth and Student by Aftab Hussain. Free Download Nigah Ke Liye Ek KHwab Bhi Ghanimat Hai in PDF.