Qadam Qadam Pe Kisi Imtihan Ki Zad Mein Hai

qadam qadam pe kisi imtihan ki zad mein hai

zamin ab bhi kahin aasman ki zad mein hai

har ek gam ulajhta hun apne aap se main

wo tir hun jo KHud apni kaman ki zad mein hai

wo bahr hun jo KHud apne kinare chaTta hai

wo lahar hun ki jo sail-e-rawan ki zad mein hai

main apni zat pe israr kar raha hun magar

yaqin ka khel musalsal guman ki zad mein hai

mere wajud ke andar utarta jata hai

hai koi zahr jo meri zaban ki zad mein hai

lagi hui hai nazar aane wale manzar par

magar ye dil ki abhi raftagan ki zad mein hai

yahi nahin ki faqat rizq-e-KHwab band hua

gada-e-ku-e-hunar bhi sagan ki zad mein hai

ufuq ufuq jo mere nur ka ghubar uDa

ye kaenat mere KHak-dan ki zad mein hai

(849) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qadam Qadam Pe Kisi Imtihan Ki Zad Mein Hai In English By Famous Poet Aftab Hussain. Qadam Qadam Pe Kisi Imtihan Ki Zad Mein Hai is written by Aftab Hussain. Read famous Poem Qadam Qadam Pe Kisi Imtihan Ki Zad Mein Hai for youth and Student by Aftab Hussain. Free Download Qadam Qadam Pe Kisi Imtihan Ki Zad Mein Hai in PDF.