Main Apne Waste Rasta Naya Nikalta Hun

main apne waste rasta naya nikalta hun

dalil-e-sher mein thoDa sa kashf Dalta hun

bahut sataya hua hun laim duniya ka

saKHi hun dil ki purani KHalish nikalta hun

zamana kya hai kabhi man ki mauj mein aaun

to nok-e-naqsh pe apni use uchhaalta hun

ye mera kunj-e-makan mera qasr-e-ali hai

main apna sikka-e-raej yahin pe Dhaalta hun

meri ghazal mein zan-o-mard jaise baham hon

ise jalalta hun phir ise jamalta hun

zara paDhen to meri iKHtiyar mein na rahen

ye naunihaal jinhen mushkilon se palta hun

(801) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Apne Waste Rasta Naya Nikalta Hun In English By Famous Poet Aftab Iqbal Shamim. Main Apne Waste Rasta Naya Nikalta Hun is written by Aftab Iqbal Shamim. Read famous Poem Main Apne Waste Rasta Naya Nikalta Hun for youth and Student by Aftab Iqbal Shamim. Free Download Main Apne Waste Rasta Naya Nikalta Hun in PDF.