Main Jab Bhi Chhune Lagun Tum Zara Pare Ho Jao

main jab bhi chhune lagun tum zara pare ho jao

ye kya ki lams mein aate hi dusre ho jao

ye kar-e-ishq magar hum se kaise sarzad ho

alaw tez hai sahab zara pare ho jao

tumhaari umr bhi us aab ke hisab mein hai

nahin ki us ke barasne se tum hare ho jao

ye gosha-gir tabiat bhi ek mahbas hai

hawa ke lams mein aao hare-bhare ho jao

kabhi to matla-e-dil se ho itni barish-e-ashk

ki tum bhi khul ke baraste hue khare ho jao

(913) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Jab Bhi Chhune Lagun Tum Zara Pare Ho Jao In English By Famous Poet Aftab Iqbal Shamim. Main Jab Bhi Chhune Lagun Tum Zara Pare Ho Jao is written by Aftab Iqbal Shamim. Read famous Poem Main Jab Bhi Chhune Lagun Tum Zara Pare Ho Jao for youth and Student by Aftab Iqbal Shamim. Free Download Main Jab Bhi Chhune Lagun Tum Zara Pare Ho Jao in PDF.