Misal-e-sail-e-bala Na Thahre Hawa Na Thahre

misal-e-sail-e-bala na Thahre hawa na Thahre

lagae jaen hazar pahre hawa na Thahre

kahin kahin dhup chhup-chhupa kar utar hi aai

dabiz baadal hue ikahre hawa na Thahre

waraq jab ulTe kitab-e-mausam dikhae kya kya

gulab aariz badan sunahre hawa na Thahre

wo sans umDi ki be-hison ne ghazab mein aa kar

gira diye habs ke kaTahre hawa na Thahre

kabhi badan ke ruen ruen mein hawas ubhrin

kabhi kare gosh hosh bahre hawa na Thahre

usi ki raftar-e-pa se ubhren nuqush-e-rangin

kahin pe halke kahin pe gahre hawa na Thahre

sada-e-har-su falak ke gumbad mein gunjti hai

hawa na Thahre hawa na Thahre hawa na Thahre

(889) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Misal-e-sail-e-bala Na Thahre Hawa Na Thahre In English By Famous Poet Aftab Iqbal Shamim. Misal-e-sail-e-bala Na Thahre Hawa Na Thahre is written by Aftab Iqbal Shamim. Read famous Poem Misal-e-sail-e-bala Na Thahre Hawa Na Thahre for youth and Student by Aftab Iqbal Shamim. Free Download Misal-e-sail-e-bala Na Thahre Hawa Na Thahre in PDF.