Naslen Jo Andhere Ke Mahazon Pe LaDi Hain

naslen jo andhere ke mahazon pe laDi hain

ab din ke kaTahre mein KHata-war khaDi hain

be-nam si aawaz-e-shaguft aai kahin se

kuchh patiyan shayad shajar-e-shab se jhaDi hain

niklen to shikaston ke andhere ubal aaen

rahne do jo kirnen meri aankhon mein gaDi hain

aa Dub! ubharna hai tujhe agle nagar mein

manzil bhi bulati hai saliben bhi khaDi hain

jab pas kabhi jaen to paT bheD len khaT se

kya laDkiyan sapne ke darichon mein khaDi hain

kya raat ke aashob mein wo KHud se laDa tha

aaine ke chehre pe KHarashen si paDi hain

KHamoshiyan us sahil-e-awaz se aage

patal se gahri hain, samundar se baDi hain

(759) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Naslen Jo Andhere Ke Mahazon Pe LaDi Hain In English By Famous Poet Aftab Iqbal Shamim. Naslen Jo Andhere Ke Mahazon Pe LaDi Hain is written by Aftab Iqbal Shamim. Read famous Poem Naslen Jo Andhere Ke Mahazon Pe LaDi Hain for youth and Student by Aftab Iqbal Shamim. Free Download Naslen Jo Andhere Ke Mahazon Pe LaDi Hain in PDF.