Nazar Ke Samne Rahna Nazar Nahin Aana

nazar ke samne rahna nazar nahin aana

tere siwa ye kisi ko hunar nahin aana

ye intizar magar iKHtiyar mein bhi nahin

pata to hai ki use umr bhar nahin aana

ye hijraten hain zamin o zaman se aage ki

jo ja chuka hai use lauT kar nahin aana

zara si ghaib ki luknat zaban mein lao

baghair is ke suKHan mein asar nahin aana

har aane wala naya rasta dikhata hai

isi liye to hamein rah par nahin aana

zara wo dusri khiDki bhi khol kamre ki

nahin to taza hawa ne idhar nahin aana

karun masafaten na-afrida rahon ki

mujh aisa baad mein aawara-sar nahin aana

(903) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazar Ke Samne Rahna Nazar Nahin Aana In English By Famous Poet Aftab Iqbal Shamim. Nazar Ke Samne Rahna Nazar Nahin Aana is written by Aftab Iqbal Shamim. Read famous Poem Nazar Ke Samne Rahna Nazar Nahin Aana for youth and Student by Aftab Iqbal Shamim. Free Download Nazar Ke Samne Rahna Nazar Nahin Aana in PDF.