Panjon Ke Bal KhaDe Hue Shab Ki ChaTan Par

panjon ke bal khaDe hue shab ki chaTan par

naKHun se ek KHarash laga aasman par

barson darun-e-sina sulagna hai phir hamein

lagta hai qufl-e-habs hawa ke makan par

ek dhaD hai ki chaaron taraf se sunai de

girdab-e-chashm ban gain aankhen machan par

maujud bhi kahin na kahin iltawa mein hai

jo hai nishan par wo nahin hai nishan par

us mein kamal us ki KHabar-saziyon ka hai

khata hun main fareb jo sach ke guman par

sarkash ko nisf umr ka ho lene dijiye

bik jaega kisi na kisi ki dukan par

(771) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Panjon Ke Bal KhaDe Hue Shab Ki ChaTan Par In English By Famous Poet Aftab Iqbal Shamim. Panjon Ke Bal KhaDe Hue Shab Ki ChaTan Par is written by Aftab Iqbal Shamim. Read famous Poem Panjon Ke Bal KhaDe Hue Shab Ki ChaTan Par for youth and Student by Aftab Iqbal Shamim. Free Download Panjon Ke Bal KhaDe Hue Shab Ki ChaTan Par in PDF.