Tamiz-e-pisar-e-zamin Wa Ibn-e-falak Na Karna

tamiz-e-pisar-e-zamin wa ibn-e-falak na karna

tum aadmi ho to aadmi ki hatak na karna

ye jama-o-tafriq zarb-o-taqsim ki sadi hai

aqida Thahra adad ki mantiq pe shak na karna

pas-e-KHarabaat-e-band jari hai mai-gusari

sikhaya jam-o-subu ko hum ne khanak na karna

chhalawe ban jaen aage ja kar yahi ghazalan

taaqub in mah-washon ka tum dur tak na karna

ye gham ke mani tujhe lage hai sarab-e-mani

akele sahna use gham-e-mushtarak na karna

(804) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tamiz-e-pisar-e-zamin Wa Ibn-e-falak Na Karna In English By Famous Poet Aftab Iqbal Shamim. Tamiz-e-pisar-e-zamin Wa Ibn-e-falak Na Karna is written by Aftab Iqbal Shamim. Read famous Poem Tamiz-e-pisar-e-zamin Wa Ibn-e-falak Na Karna for youth and Student by Aftab Iqbal Shamim. Free Download Tamiz-e-pisar-e-zamin Wa Ibn-e-falak Na Karna in PDF.