Waise To Bahut Dhoya Gaya Ghar Ka Andhera

waise to bahut dhoya gaya ghar ka andhera

nikla nahin diwar ke andar ka andhera

kuchh ruashni-e-taba zaruri hai wagarna

hathon mein utar aata hai ye sar ka andhera

wo hukm ki hai aql-o-aqide pe muqaddam

chhuTne hi nahin deta muqaddar ka andhera

kya kya na abul-haul tarashe gae us se

jaise ye andhera bhi ho patthar ka andhera

deti hai yahi waqt ki tauret gawahi

zar ka jo ujala hai wo hai zar ka andhera

har aankh lagi hai ufuq-e-dar ki jaanib

suraj se kiran mangta hai Dar ka andhera

(779) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Waise To Bahut Dhoya Gaya Ghar Ka Andhera In English By Famous Poet Aftab Iqbal Shamim. Waise To Bahut Dhoya Gaya Ghar Ka Andhera is written by Aftab Iqbal Shamim. Read famous Poem Waise To Bahut Dhoya Gaya Ghar Ka Andhera for youth and Student by Aftab Iqbal Shamim. Free Download Waise To Bahut Dhoya Gaya Ghar Ka Andhera in PDF.