Wo Itr-e-KHak Ab Kahan Pani Ki Bas Mein

wo itr-e-KHak ab kahan pani ki bas mein

hum ne badal liya hai piyala gilas mein

kal raat aasman mera mehman raha

kya jaane kya kashish thi mere iltimas mein

mamnun hun main apni ghazal ka ye dekhiye

kya kaam kar gai mere gham ke nikas mein

main qaid-e-haft-rang se aazad ho gaya

kal shab naqab laga ke makan-e-hawas mein

phir ye fasad-e-firqa-o-maslak hai kis liye

tu aur main to ek hain apni asas mein

(960) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Itr-e-KHak Ab Kahan Pani Ki Bas Mein In English By Famous Poet Aftab Iqbal Shamim. Wo Itr-e-KHak Ab Kahan Pani Ki Bas Mein is written by Aftab Iqbal Shamim. Read famous Poem Wo Itr-e-KHak Ab Kahan Pani Ki Bas Mein for youth and Student by Aftab Iqbal Shamim. Free Download Wo Itr-e-KHak Ab Kahan Pani Ki Bas Mein in PDF.