Ye Jo Thahra Hua Manzar Hai Badalta Hi Nahin

ye jo Thahra hua manzar hai badalta hi nahin

waqia parda-e-saat se nikalta hi nahin

aag se tez koi chiz kahan se laun

mom se narm hai wo aur pighalta hi nahin

ye meri KHams-hawasi ki tamasha-gahen

tang hain un mein mera shauq bahalta hi nahin

paikar-e-KHak hain aur KHak mein hai saql bahut

jism ka wazn talab hum se sambhalta hi nahin

ghaaliban waqt mujhe chhoD gaya hai pichhe

ye jo sikka hai meri jeb mein chalta hi nahin

hum pe ghazlen bhi namazon ki tarah farz huin

qarz na-KHwasta aisa hai ki Talta hi nahin

(896) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Jo Thahra Hua Manzar Hai Badalta Hi Nahin In English By Famous Poet Aftab Iqbal Shamim. Ye Jo Thahra Hua Manzar Hai Badalta Hi Nahin is written by Aftab Iqbal Shamim. Read famous Poem Ye Jo Thahra Hua Manzar Hai Badalta Hi Nahin for youth and Student by Aftab Iqbal Shamim. Free Download Ye Jo Thahra Hua Manzar Hai Badalta Hi Nahin in PDF.