Ju-e-rawan Hun Thahra Samundar Nahin Hun Main

ju-e-rawan hun Thahra samundar nahin hun main

jo nasb ho chuka ho wo patthar nahin hun main

suraj ka qahr dekhiye mujh par ki aaj tak

KHud apne sae ke bhi barabar nahin hun main

main pighla ja raha hun badan ke alaw mein

aur kah raha hun mom ka paikar nahin hun main

miTTi safar ki pairon mein aankhon mein ek KHwab

Thahrun kahan ki mil ka patthar nahin hun main

din bhar ki bhuki pyasi chali aa rahi hai raat

kis dil se uzr kar dun ki ghar par nahin hun main

buDhi riwayaton se bhare ek shahr mein

yun bas gaya hun jaise ki be-ghar nahin hun main

(796) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ju-e-rawan Hun Thahra Samundar Nahin Hun Main In English By Famous Poet Aftab Shamsi. Ju-e-rawan Hun Thahra Samundar Nahin Hun Main is written by Aftab Shamsi. Read famous Poem Ju-e-rawan Hun Thahra Samundar Nahin Hun Main for youth and Student by Aftab Shamsi. Free Download Ju-e-rawan Hun Thahra Samundar Nahin Hun Main in PDF.