Koi Achchhi Si Ghazal Kanon Mein Mere Ghol De

koi achchhi si ghazal kanon mein mere ghol de

qaid-e-tanhai mein hun main mujh ko aa kar khol de

ye tanaw jism ka baDhne nahin dega tujhe

chust pairahan mein tu apne zara sa jhol de

ek laDki jal rahi hai chilchilati dhup mein

koi baadal aa ke us par apni chhatri khol de

rah takte jism ki majlis mein sadiyan ho gain

jhank kar andhe kunen mein ab to koi bol de

main KHaridar-e-wafa hun tu giraftar-e-wafa

meri banhon mein thirakta jism apna tol de

der tak banjara kal koi sada deta raha

kaun hai bazar mein jo jins-e-dil ka mol de

jaane kab se faisla qismat ka sunne ke liye

muntazir baiTha hun main tu apni muTThi khol de

sher achchhe hon to be-gae bhi mil jati hai dad

tu KHudara lahn ke hathon mein mat kashkol de

(776) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Achchhi Si Ghazal Kanon Mein Mere Ghol De In English By Famous Poet Aftab Shamsi. Koi Achchhi Si Ghazal Kanon Mein Mere Ghol De is written by Aftab Shamsi. Read famous Poem Koi Achchhi Si Ghazal Kanon Mein Mere Ghol De for youth and Student by Aftab Shamsi. Free Download Koi Achchhi Si Ghazal Kanon Mein Mere Ghol De in PDF.