TuTa Hua Aaina Jo Raste Mein PaDa Tha

TuTa hua aaina jo raste mein paDa tha

suraj ki tarah meri nigahon mein chubha tha

nam apna hi main sab se khaDa puchh raha tha

kuchh meri samajh mein nahin aaya ki ye kya tha

aaankhon ke dariche nazar aate the muqaffal

aur zehn ke kamre mein dhuan phail raha tha

jati hui baraat ne ek lamha ThiThak kar

Thahri hui ek lash pe matam bhi kiya tha

mazi nahin marta hai yaqin aa gaya mujh ko

bita hua har pal wo liye sath khaDa tha

tufan ki zad mein the KHayalon ke safine

main ulTa samundar ki taraf bhag raha tha

(1083) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

TuTa Hua Aaina Jo Raste Mein PaDa Tha In English By Famous Poet Aftab Shamsi. TuTa Hua Aaina Jo Raste Mein PaDa Tha is written by Aftab Shamsi. Read famous Poem TuTa Hua Aaina Jo Raste Mein PaDa Tha for youth and Student by Aftab Shamsi. Free Download TuTa Hua Aaina Jo Raste Mein PaDa Tha in PDF.