Talash-e-qafiya Mein Umr Sab Guzari Hai

talash-e-qafiya mein umr sab guzari hai

tu puKHtagi jise kahta hai KHam-kari hai

sabhi hain apne magar ajnabi se lagte hain

ye zindagi hai ki hotel mein shab guzari hai

wo sare din raha daftar mein aur raat Dhale

nazar ke kase mein ek KHwab ka bhikari hai

kuchh aisa bichhDa hun KHud se ki mil nahin sakta

agarche kaam ba-zahir ye iKHtiyari hai

na jaane kyun meri aankhon mein chubh rahi hai aaj

safed sari pe jo ye siyah dhaari hai

mujhe class mein aksar ye qaul yaad aaya

wo kaamyab moallim hai jo madari hai

(799) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Talash-e-qafiya Mein Umr Sab Guzari Hai In English By Famous Poet Aftab Shamsi. Talash-e-qafiya Mein Umr Sab Guzari Hai is written by Aftab Shamsi. Read famous Poem Talash-e-qafiya Mein Umr Sab Guzari Hai for youth and Student by Aftab Shamsi. Free Download Talash-e-qafiya Mein Umr Sab Guzari Hai in PDF.