Sabhi BichhaD Gae Mujhse Guzarte Pal Ki Tarah

sabhi bichhaD gae mujh se guzarte pal ki tarah

main gir chuka hun kisi KHwab ke mahal ki tarah

nawah-e-jism mein rota-karahta din-raat

mujhe Daraata hai koi meri ajal ki tarah

ye shahr hai yahan apni hi justuju mein log

milenge chalte hue chiyunTiyon ke dal ki tarah

main us se milta raha aaj ki tawaqqo par

wo mujh se dur raha aane wale kal ki tarah

nagar mein zehn ke phir sham se hai sannaTa

udas udas hai dil 'mir' ki ghazal ki tarah

niDhaal dekh ke bistar mein nind ki pariyan

phir aaj mujh se KHafa ho gai hain kal ki tarah

(1048) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sabhi BichhaD Gae Mujhse Guzarte Pal Ki Tarah In English By Famous Poet Aftab Shamsi. Sabhi BichhaD Gae Mujhse Guzarte Pal Ki Tarah is written by Aftab Shamsi. Read famous Poem Sabhi BichhaD Gae Mujhse Guzarte Pal Ki Tarah for youth and Student by Aftab Shamsi. Free Download Sabhi BichhaD Gae Mujhse Guzarte Pal Ki Tarah in PDF.