Guzarte Lamhon Ka Matam

sunahre KHwabon ki wadi mein muddaton hum ne

kai makan basae kai makin badle

tamam umr raha intizar ka aalam

guzarte lamhon ka matam kiya niDhaal rahe

na doston mein koi ab na dushmanon mein koi

hamare mazi ka hum se hisab le kar jo

hamare sud-o-ziyan ka laga ke andaza

hamein batae ki kya khoya hum ne kya paya

bas ek waqt ki Thokar ba-shakl-e-sham-o-sahar

hamare panw mein lag lag ke puchhti hai roz

kahan se aae ho kab tak chaloge tum yunhi

jawab is ka bhi hai us ke pas hi lekin

sawal karne ki aadat si paD gai hai use

(843) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Guzarte Lamhon Ka Matam In English By Famous Poet Aftab Shamsi. Guzarte Lamhon Ka Matam is written by Aftab Shamsi. Read famous Poem Guzarte Lamhon Ka Matam for youth and Student by Aftab Shamsi. Free Download Guzarte Lamhon Ka Matam in PDF.